Wednesday, March 15, 2006

jurm

ham paravarish-e-lauh-o-qalam karate rahenge
jo dil pe guzaratii hai raqam karate rahenge
ek tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ek arz-e-tamannaa hai so ham karate rahenge
- Faiz
suna hai log dosti pe sawaal uttha rahe hain, chalo acchi baat hai. neend tootna zaroori hai, chahe woh koyal ki koonk se ho, chale murge ki baang se. ilzam lag rahe hain. accha hai! kam se kam kisi ne socha to, soch ki main is qabil hoon.
tehwaar hai aaj, par main khush nahin. yeh mera qasoor hai. yaqinan bahut sangin jurm hai, aakhir jab poore mohalle mein rang baras rahe hon, to ek do sar phiron ko kya haq ki woh khud ko us se mehfooz rakhen?
main gunahgaar hoon. iqraar bhi karta hoon.
saza dene walon se koi gila nahin. aakhir unhe poora inkhtiyar hai. main unki khushi mein shamil nahin, to naarazgi zahir hai.
is dua ke saath ki woh khush rahen, hamesha, zindagi mein aise hi rang maujood rahen.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home

Free Blog Counter