Tuesday, August 01, 2006

tumhare husn ke naam ?



dost,

salaam!

kal raat tumhare naam ki pi! purane doston ki mehfil thi. jahan, koi apni nayi mohabbat ke afsaanon mein qaid tha, aur koi mohabbat se dar-kinar, dunyawi masail mein mubtila, humne tuhare bahaney se 4.5 minute ke liye limelight cheen lin. shukriya.

woh mehfil to ab tamaam hui. na maloom kitne baras baad daubara jamey. tum shayad tab tak zinda na bacho. balki tum toh shayad, yeh khat milne tak khaq ho chukey ho. ajeeb zindagi hai tumhari, muqtasar, bematlab, dardnaak, khauf-zada. bhai yeh toh tumhari hi himmat hai, jo jiye jaatey ho.

main tumhare gham mein, na toh shamil hoon, na kabhi hoonga. insaaf ki daleel mujh jaise mazdoor ki samajh ke pare hain. tumhari yeh kismet tumhe mubarak ho bhai. meri toh bus yeh dua hai ki mere naseeb ki lakeeren, tumhari lakeeron se juda rahen.

daubara yaad aayi toh ek khat aur likh doonga. jiye jao.

1 Comments:

At 3:40 PM, August 02, 2006 , Blogger shradha said...

ek kavita dhoondh rahi hun

pehli line hai - jab jab main dukhi hua samvedna tumne dikhaayi

zara dekhna shaayad tumhe mil jaaye

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home

Free Blog Counter