ghar | zinc | faasla
dhandu ka karobar zara damadol hue ja raha tha. kuch jaldbazi mein liye faisle uske liye mehnge saabit ho rahe the. yahan mehnge se meri muraad waqai lafz 'mehnge' se hai. aur younh bhi miyan dhandu ke baarey mein zyadatar alfaaz mehaz matlab ke dayare tak ki mehdod rakhna behtar hai.
bakhaul chacha ghalib, 'shayar to wo accha hai, go badnaam bahut hai'.
udhar woh gudli apne maazi ke saath ek ho rahin thin. wapas us gudiya ghar mein, jahan uska bachpan beeta. tafri ke naye saz-o-saaman maujood the, ek naya gudda aaya tha ghar mein. bus in hi sab ke beech bepanah khush thi. waise yeh izhaar-e khushi zara pecheeda sheh hua karti hai. khushi ko baantne wale fard ek doosre ke mohtaaj hote hain.
bakhaul zafar, le gaya cheenn ke kaun aaj tera sabr-o-qarar, beqarari tujhe aye dil kabhi aisi to na thi.'
then of course Tully got trapped with Zinc. Reducing demand and a steady supply tested his patience. Sacchi went about the town happy as a daisy in bloom. Hers was a family of real traders, and thus she knew that all loss was eventually a temporary affair!
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home