Thursday, March 01, 2007

sala farvari

bada nuksan kiya miyan farvari tumne humara. poochtey ho kaise, lo zara note karo:

1. woh gaon gayin, kautin, dimag palta hua, hamara bheja hua dhai, kharcha aaya daru botal ka
2. birthday ki di party, gas ka cylinder hua khatam, uska kharcha, plus us chakkar mein lunch bananey ka riwaaj hua khataam. ghatiya khana khaya, sehat down, kharcha up, abhi aagey aur hai
3. pichle mainey gaye apne college reunion ke liye, udhar pe khareede ticket, udhar pe khilayi dawat, udhar pe kahrede chaddi baniyan, kharcha chukaya is maheene
4. market hui diwaani, hindi-chini kya khak bhai bhai, unkhonne saalon ne nayyia dubai, indices girey, paise lutey, kharcha chadhey
5. firangi joker aaya, bharpoor rang jamaya, humey harey patton ka haar chadhaya
6. holi ke teohar ne lalchaya, radha ka bulawa aaya, kanha ne tiket kataya, 5 packet roti, 250 gms sprout, 2 gajar, 6 ubley aaloo, 500 gms hari matar, 2 kheere aur 1/2 lts phata doodh sab sala naali mein bahaya, kharcha farvari ke hi toh sar aya
7. ab jab laga hua sab theek, meri chappal tooti, bloody, thats some cheek!

okok ... now bye

Free Blog Counter