Wednesday, February 28, 2007

signs

spotted en route to work

Mrs GOLIS
coaching centre
"HINDI TUTIONS"

Friday, February 23, 2007

happy hours - tragicomedy, an act

Scene I - firangi sahibs in town, call meeting @ 17:00 hrs (expected to end in an hour) expectations are met (ironically) and meeting ends around 18:45 hrs. Love Letters stands cancelled.

J appears, reappears !

Plan is hatched.

Scene II - two adjacent booths. a single mother with two children in left booth. two men in right booth. they never interact. left booth in darkness.

snatches -

A - mohabbat ki baatien mat kar dost, how bout cricket?
J - Nirvana is accomplished when you unknowingly slip into it ... etc etc

...





A - kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
... amaanat hai




phone rings, its H from mumbai, talks to J, J then gives phone to A ...

H (VO) - aap toh bambai aa rahe the
A - bhai, koi naukri to milley
H - aapke liye to prithvi kaafi hai
A - miyan, roti bhi to khaani hai!




etc etc.




profound !!





The end

Wednesday, February 21, 2007

Good morning

subah savere ki woh baatien shayad tum ab bhool gaye
subah savere ki woh baatien mujhko bhi ab yaad nahin
---
subah savere geet likhey, naghme gaaye, fariyaad karin
subah savere khwaab buney, natak khele, iqraar kiya
---
subah savere humney tumney duniye nayi ejaad kari
subah savere humney tumney sar basar bus pyaar kiya
---
subah savere waley din ab jaise ghat-tey jaatey hain
subah savere ki woh yaadien sang mein lete jaatey hain
---
subah savere shuru hua ja safar kahan ab le jaye
subah savere phir dekho is aangan mein ab kab aaye

Friday, February 16, 2007

an old story

many months ago i began the story of the parrot who wanted to swim.
so these parrots are unusual creatures, in the sense that they can speak without thinking. like a few men. women also. but none the less unusual as they can fly too, but not swim! unlike those few men. women also.
the story goes something like this ... that that parrot decided that it had had enough of offs and ons and now was prepared to dive head long into the sea. deciding over, the task of doing was the only job left. only job left. job left. left. left the job and flew back.
parrots are intelligent creatures. unlike few men. women also.

Thursday, February 15, 2007

Ghazal

tumhari ada ab badal si gayi hai
woh masoomiyat jaise dhal si gayi hai

na ranjish mujhe aur na gham ab kisi pe
yeh duniya ajab ab nikhar si gayi hai

woh aankhen tumhari thirakti, kateeli
nigah jaane teri ab kis par padi hai

farishton ne pooncha illahi se jis dam
ke malik yeh khilqat ajab ban gayi hai

chalo ab yahan se, badhao yeh kashti
youn saahil pe kashti yeh jachti nahin hai

zamaney ne ehsan yeh hum par kiye hai
zafar warna sabr itni milti nahin hai

Wednesday, February 07, 2007

ghar | zinc | faasla

dhandu ka karobar zara damadol hue ja raha tha. kuch jaldbazi mein liye faisle uske liye mehnge saabit ho rahe the. yahan mehnge se meri muraad waqai lafz 'mehnge' se hai. aur younh bhi miyan dhandu ke baarey mein zyadatar alfaaz mehaz matlab ke dayare tak ki mehdod rakhna behtar hai.
bakhaul chacha ghalib, 'shayar to wo accha hai, go badnaam bahut hai'.

udhar woh gudli apne maazi ke saath ek ho rahin thin. wapas us gudiya ghar mein, jahan uska bachpan beeta. tafri ke naye saz-o-saaman maujood the, ek naya gudda aaya tha ghar mein. bus in hi sab ke beech bepanah khush thi. waise yeh izhaar-e khushi zara pecheeda sheh hua karti hai. khushi ko baantne wale fard ek doosre ke mohtaaj hote hain.
bakhaul zafar, le gaya cheenn ke kaun aaj tera sabr-o-qarar, beqarari tujhe aye dil kabhi aisi to na thi.'

then of course Tully got trapped with Zinc. Reducing demand and a steady supply tested his patience. Sacchi went about the town happy as a daisy in bloom. Hers was a family of real traders, and thus she knew that all loss was eventually a temporary affair!

Free Blog Counter