Friday, May 04, 2007

aap kya likhna chahtey hain ?

Pehla - "baazar ka kya imaan? hua hua, na hua na hua. is udher bun mein dimag lagane wale apne ko samajh na aatey. hisab tab tak karna chahiye, jab tak munaafa apne galley mein aawey, bahar gaya toh sab banta dhar, bekaar. haan baaz aukaat nuksaan bhi faidey ka ho jaya karey hai. kab, kahan aur kaise, iska koi jawab na hai. baazar ka kya imaan? hua hua, na hua na hua. "
-
Second - "form follows function. its not my own line, heard it somewhere. also heard a smart analogy. if a lion is chasing you and me, i'd rather outrun you than the lion. it sure is a treat to watch super performers perform, they simply create forms. how they do that is anyones guess. form follows function. its not my own line, heard it somewhere.
-
Teeja -
woh kabhi kahen ki yeh tum likho
woh kabhi kahen ki yeh hum likhen
-
kahen hum unhey ki bus tum likho
kahen hum unhey nahin hum likhen
-
kabhi hum kahen, kabhi tum kaho
kabhi hum likhen, kabhi tum likho

Thursday, May 03, 2007

kya sabr, kya shukr

kya ho anjaam nahin socha hai
accha nahin, na sahi
umeed ki ik kiran toh hoti hai
-
sabr ki inteha bhi hoti hai
meetha nahin, na sahi
phal ki aarzu toh hoti hai
-
kya thi umeed kya yeh paya hai
khwab nahin, na sahi
khwahish phir bhi bulund hoti hai
-
shukr bhi toh adda hi karna hai
kiya nahin, na sahi
dil mein ik khalish toh hoti hai

Tuesday, May 01, 2007

saalgirah

kyoun na tum par nisaar jaan karun
jan.pe nahin to kis. pe nisaar jaan karun
-
ho chala waqt yahan par ab humara poora
jaatey jaatey salaam kis ko karun
-
phir kabhi lenge hisaab, sochenge
faisla is ghadi main kaise karun
-
mehfil-e shauq mein gar meh ho humari humdum
jaam-e aakhir, aakhri jaam kaise karun
-
woh jo apne they kabhi, aaj sab pareshan hain
kis se boloon, kise rokoon, dua main kiski karun
-
ab toh lagta hai 'zafar' ek tum hi kaafir ho
namaz-e-shukr, be-imaan, ada kaise karun

Free Blog Counter